Ilahi madad kar madad ki ghari hai gunaahon kay darya mein kashti phansi hai mere tan pe ghaflat ki chaadar pari hai nahoosat gunaahon ki chhaaee hui hai yahi baat hum ne baron se suni hai na ho banagi gar to kia zindagi hai ae abr-e-karam aa baras ja baras ja ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai nahi paas husn-e-amal mere mola nazar meri tere karam per lagi hai ubaid-e-raza naikyon se hai khali gunaahon mein hasil ise bartari hai lab-e-mustafa se khudaya suna day ubaid-e-raza naar se tu bari hai