baat jo kijiye or jab kijiye saath mein zikr-e-mehboob kijiye chahatein woh milein zoq aansoo bahain laghw baaton se band apnay lab kijiye lo woh minaar-o-gumbad nazar aa gaye ab salam arz sub ba adab kijiye subz gumbad kay saaye talay hain kharay khoob taqdeer per rashk ab kijiye woh nawaazein gay khali na lotaayein gay un se halat arz apni sub kijiye dar pe akar bhikari phirein na murad yeh gawara bhala aap kab kijiye roo baroo jaalion kay kharay hain huzoor ab ataa bheek shah-e-arab kijiye aap kay dar kay hotay kidhar jaayein hum ab ataa bheek shah-e-arab kijiye deejiye hum ko khairat deedar ki ab karam ya nabi behr-e-Rab kijiye mar raha hoon gunaahon kay amraaz se ek nazar janib-e-jaan balab kijiye qalb-e-tareek par rakh kay apna qadam chaandna mere mah-e-arab kijiye sun kay faryad imdaad ko aa gaye yaad ubaid-e-raza un ko jab kijiye