dil madinah mera bana aaqa ho mujhe chashm-e-nam ataa aaqa ab huzoori ho door doori ho phir madinay mujhe bula aaqa mot kar baad bhi suroor aaye aisi ulfat ki mai pila aaqa mujh ko siddiq ki sadaqat ka koi zarra kar ataa aaqa kaash roay khashiyat-e-Rab mein behr-e-farooq dil mera aaqa behr-e-usman ba haya mujh ko dijiye dolat-e-haya aaqa behr-e-mola ali mujhe ghalba dushmano per tu kar ataa aaqa az paye fatima mujhe apnay ishq mein har ghari rula aaqa behr-e-hasnain day panah mujh ko paikar-e-sabr or riza aaqa mujh ko sadqay mein bu hanifa kay aalim-e-baa amal bana aaqa waasta tujh ko ghous-e-azam ka naik seerat mujhe bana aaqa waasta tujh ko alahazrat ka tu mujhe muttaqi bana aaqa mere ahl-o-ayaal orr mujh se door ho jaye har bala aaqa muskura kar ubaid se keh do tu mera banda mein tera aaqa