hoon mein nadim gunaahon per ya Rab mujh pe rehmat ki ho ya Rab jitni ghariyan hon umr ki baaqi aafiat se woh hon basar ya Rab aah badkaarian barheen had say ban chuka qalb bhi hajar ya Rab tu gunaahgar per reham farma behr-e-siddiq or umar ya Rab bakhsh day mujh ko bay sabab mola or jannat mein day day ghar ya Rab khatima mustafa kay qadmon per mera eemaan per tu kar ya Rab rooh niklay gi jhoom kar meri hogi deed-e-huzoor gar ya Rab day jawar-e-nabi mein ja mujh ko na phira mujh ko dar badar ya Rab hajj ka har saal day sharaf mola saath murshid kay ho safar ya Rab murshidi saath lay chalein taiba aarzoo aaye meri bar ya Rab saamnay subz subz gumbad ho jab uthaaoon jidhar nazar ya Rab ishq-e-sarkar se ho dil roshan na mile mujh ko maal-o-zar ya Rab ishq meethay madinay ka mola mujhe hasil is qadar ho ya Rab kay jab kahin bhi ho zikr taiba ka aankh ho jaaye meri tar ya Rab ho kay razi ubaid se malik har khata kar tu dar guzar ya Rab day baqi mein ubaid ko madfan mot taiba mein baksh kar ya Rab