idhar bhi nigaahay karam ghous-e-azam karo door ranj-o-alam ghous-e-azam ghira hoon mein har samt se ranj-o-ghum mein khudara karam kar karam ghous-e-azam woh rutba tera hai kay jitnay wali hain sabhi tere zair-e-qadam ghous-e-azam hai gardan mein teri ghulami ka patta tujhi se hai mera bharam ghous-e-azam tera hoon mein tera mere is kahe ka sar-e-hashr rakhna bharam ghous-e-azam madinay se najdi bala ko nikalo karo un kay sar ko qalam ghous-e-azam mera har maraz door ho jaye piyaare karo aisa aakar k dam ghous-e-azam mere chaand mera muqaddar sanwaaro bohot ho gaye paich-o-ghum ghous-e-azam mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do karo aaj ki shab karam ghous-e-azam nazar jab uthaaoon nazar aaye mujh ko madinay ka dilkash haram ghous-e-azam jila paaye ga dil ubaid-e-raza ka zara rakh do apna qadam ghous-e-azam