maangnay ka maza hai dar-e-yaar per har talab per ataa hai dar-e-yaar per kon lab kholta hai dar-e-yaar per bay talab mil raha hai dar-e-yaar per maang un se nahi jin kay lab per nahi jo bhi maanga mila hai dar-e-yaar per baksh day ya Khuda sun kay farmaan tera aaj hazir gada hai dar-e-yaar per kyun na maangay ubaid un kar dar per qaza jee gaya jo mara hai dar-e-yaar per