Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba Bay kason se hai jinhay pyar wohi aaye hain jo do aalam k hain ghum khaar wohi aaye hain ek nazar aasmaan per daal marhaba chamka mah-e-noor ka hilal jhanday lagao galiyan sajao karlo charaghan ghar jagmagao razi ho Rab-e-Zuljalal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba mehfil sajaayein naatein sunaein aaqa ki aamad ki dhoomain machayein roz-o-shab yehi ho apna haal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba laaraib nabiyon k saalar aaye aaye do aalam k ghum khaar aaye shahkaar-e-Rab-e-Zuljalal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba aashiq k dil jagmaganay lagay hain dekho zara muskuranay lagay hain deedni hain un k khad-o-khaal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba sadqa wiladat ka jalwa dikha do dil ki lagi ab to aaqa bujha do dikhla do apna ab jamaal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba jood--osakhawat hai aadat tumhari phailaaye daaman kharay hain bhikari kar do karam amna k laal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba jaam-e-shahadat piya hai jinho ne ahle-sunan ko jila di unho na yaad aayengay wo har saal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba shaadi k naghmay sunatay rahengay jashn-e-wiladat manaatay rahengay waar daingay tum pe jaan-o-maal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba parhnay laga jab ubaid un ki naatein honay lageen chaar soo us ki baatein faiz-e-raza ka hai sub kamaal, marhaba Ya Rasool Allah Marhaba Marhaba Ya Habib Allah Marhab Marhaba