meri qismat ko jaga do ya rasool ek jhalak apni dikha do ya rasool khwaab mein tashreef la kar aik baar deed ka sharbat pila do ya rasool aa gaya beemaar aye mere tabeeb to shifaye kamila do ya rasool umr bhar teri sana khwani karoon har rukawat ko hata do ya rasool woh kabhi bhi uth nahi sakta jise tum nigaahon se gira do ya rasool baksh dega har khata meri Khuda tum zara lab ko hilaa do ya rasool umr isiaa kay sabab barbaad hai tum khatayein bakshwa do ya rasool na kahoon tum se to phir kis se kahoon meri bigri ko bana do ya rasool chaand ko ungli se mehd-e-paak mein jis taraf chaho jhuka do ya rasool sooi mil jaye andhera bhi ho gar tum jo aa kar muskura do ya rasool tum jo chaho to phira kar shams ko raat ko bhi din bana do ya rasool ghair kay dar per mein jaoon kis liye jub talab se tum siwa do ya rasool hai bara weeran shaha qalb-e-ubaid apnay jalwon se basa do ya rasool