parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik har ek saa'at-o-lamha hai qeemti is ka har ek raat se barh kar mila isay rutba isi liye to ye shab behtreen kehlaayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik Khuda ka shukr karo or parho durood un per k aaj laaye hain tashreef hadi-o-rehbar zamanay bhar mein hai mash'hoor jin ki yaktayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik chhatay hain badal-e-ghum khushian sath laayi hain har ek chehray pe ab muskurahat aayi hai har ek dil mein khushi ki baji hai shehnai parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik jahan mein subz parchamon ki bahar aayi hai or aashiqon ne makaan har gali sajaai hai hai shaad shaad nabi ka har ek tamannayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik jahan goonj utha marhaba k naaron se khushi hai kaisi na poocho ye ghum k maaron se yehi wohi raat hai jo kaif ka samaan layi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik unhi k dar se darya-e-jood behtay hain wo aaye jo nahi saail ko nahi kehte hain sakhawat aisi ataa Rab ne in ko farmayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik shab-e-wiladat-e-sarkar ka hai ye sadqa k mil gaya hai sana ka ubaid ko jazba musafir is ki ye mehnat jabeen to rang laayi parho durood k molood ki ghari aayi Ya Rasool Allah salla alaik Ya Habib Allah sallim alaik