sachi baat sikhatay ye hain seedhi raah chalatay ye hain naz-e-rooh mein aasani dain kalma yaad dilatay ye hain marqad mein bandon ko thpak kar meethi neend sulaatay ye hain qasr-e-dana tak kis ki rasaai jaatay ye hain hain aatay ye hain thanda thanda meetha meetha peetay hum hain pilaatay ye hain faiz-e-jaleel khaleel se poocho aag mein bagh lagatay ye hain apnay bharam se hum halkon ka palla bhari banatay ye hain laakh balayein karoron dushman kon bachaye bachatay ye hain apni bani hum aap bigaarein kon banaye banaatay ye hain sallim sallim ki dhaaras se pul se paar lagatey ye hain maan jab iklotay ko choray aa aa keh k bulaatay ye hain un k haath mein har kunji hai malik-e-kul kehlatay ye hain keh do raza se khush ho khush reh muzda raza ka sunaatay ye hain