sarkar kay dar per jaaoon woh waqt-e-mubarak aaye taqdder apni chamkaaoon woh waqt-e-mubarak aaye jab paish-e-nazar ho mere minaar-o-gumbad tere mein ghash kha kar gir jaaoon woh waqt-e-mubarak aaye phir zair-e-gumbad-e-khazra ro ro kar dast basta sub haal mein tujh to sunaaoon woh waqt-e-mubarak aaye dil ko apnay samjha kar deedar ki aas dila kar ro ro kar mein so jaaoon woh waqt-e-mubarak aaye woh khoaab mein jalwa dikhaein aye kaash karam farmayein mein qadmon mein gir jaaoon woh waqt-e-mubarak aaye hai dil ka ubaid ye armaan phir ban kar un ka mehmaan darbar mein naat sunaaoon woh waqt-e-mubarak aaye