Zehe Izzat-o Itlaaye Muhammad Ke he Arsh-e-Haqq zer-e-paaye Muhammad Makaan Arsh unka falaq farsh unka Malak khaadmaan-e-saraaye Muhammad Khuda ki Raza chaahata hain do Aalam Khuda chaahata hai Razaaye Muhammad Ajab kya agar raham farmaaye hum par Khudaaye Muhammad Baraaye Muhammad Muhammad baraaye Janaab-e-Ilaahi Janaab-e-Ilaahi Baraaye Muhammad Dam-e-nazaa jaari ho meri zabaan par Muhammad Muhammad Khudaaye Muhammad Mein qurbaan kya pyaari pyaari hai nisbat! Yeh aane Khuda woh Khudaaye Muhammad Khuda unko kis pyaar se Dekhta hai Joh aankhein hein mah-we-liqaaye Muhammad Ijaabat ka sehra Inaayat ka joda Dulhan ban ke niklee Duaaye Muhammad Raza pul se ab Wajd karte guzariye Ke hai Rabbi Sallim Sadaaye Muhammad